Friday, August 14, 2009

Na jaane kya baat hui!!

Na jaane kya baat hui!!
Kisi aur ki galti ki saza na jaane mera kyun bhagya hui?
Ek baar hui hoti toh theek,
Par ye toh zindagi bhar ki baat hui..

100% dene ka kiya tha prann,
Nyochhawar kiya poor tann,
Aur lagaya poora mann,
Par ye baat tu samajh na saka!
Shayad mujhse hi hui koi khata,
Jo main tujhe ye samjha na saka..!

Fir bhi main karta rahunga tera intezaar,
Kyunki maana hai maine tujhe apna yaar,
Aur ye hai mera ek atoot vishwas,
Jo ek din laayega tujhe fir se mere paas..

Aur us din hogi meri asal mein jeet,
Tab kehlaya jaayega, dil apna aur parayi preet!



PS: kavita likhne ka ye mera pehla gambhir prayaas tha..i know kuch bhi likha hua hai..but still, i like it! It was the first one.. :)

4 comments:

saurabh said...

sometimes i wonder what happened!!
why i became the vicim of someone else's fault
made sense if it happened once
but for life it doesnt seem to hault!!
:) acha hai ladke.. mast likha hai.. main bhi office mein poetry hi likhta hoon. will be posting it soon.

Manu said...

:D :D :D
Senti Harshal!!!

muuaaah!

r said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Nimit said...

Good good Nice... Phir bhi karronga hamesha intezaar.... forget it....

" Sitaron ke aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
Hum kya kare is dil se poocho
Is duniya mein ladkian abhi aur bhi hain "

APPLAUSE APPLAUSE