Thursday, February 5, 2009

Search karna hai.

the clock is showing 2:50 AM right now, and mujhe as usual, neend nai aa rahi hai.. But the reason tonight is different, I'm placed now..and have the safest job in hands which one can have. Neend nai aa rahi hai, and kuch puraani yaadein taaza ho rahi hain.. I had completed my 6 months industrial training and was chilling at home in summers, more precisely, the month of July had started, which is one of the hottest months of the year at my home. It was a hot evening that day. I was wandering here and there in the market.

Suddenly I heard something, "Kahin placement hua tera?"

I turned around. The face looked quite familiar to me, but could not recognize actually who the guy was! It's been almost 7 years, since I left home for the first time for education purposes. I was a mere 14 years old boy then. In these 7 years, I've forgotten many faces, just a few who live in the neighborhood are now known to me. Yea, coming back to the point, I couldn't recognize the face, but there was a thing that I've been doing there, just don't let them know ki u don't know them.

I answered, "Nahi Uncle, abhi nahi".
"Kaunse Year Mein Hai tu?"
"Abhi abhi 3rd year finish hua hai."
"Toh fir kya kara Chandigarh jaakar? Woh Mr. XYZ hain na, unka beta dekha? Abhi 3rd year khatam hua hai, and usse pehle hi uski TCS mein naukri lag gayi hai!"

Rajasthan ke colleges ka funda yeh hota hai, ki wahaan par gin chun kar 4-5 companies aati rehti hain every year, and woh hi mass recruitment karti rehti hain, and yeh sab hota hai 6th sem mein. On the other hand, PEC mein yeh sab hota hai 7th sem mein. Main bas yehi baat unhe samjha raha tha, but he was not ready to accept this. Wahaan ab har koi apne bete ko engineer banana chaahta hai.. Except 3-4 students, almost everybody goes to a normal college of Jaipur, jinka PEC ke aage koi standard nahi.. Chitkara and UIET are also far better than these colleges. Just because of these reasons, I never gave the exam of RPET (Rajasthan Pre-Engineering Test), because I wanted to get out of Rajasthan. Agar wahin reh jaata, toh life barbaad ho jaati.

"Woh bacha toh tujhse bada superior nikla, bhale hi yahin padha ho, par ek naukri toh lag gayi uski!! Tu toh Chandigarh gaya tha, padhne gaya tha na? kya hua? naukri toh lagi nai abhi tak teri."

It was very frustrating. Phulera ke kuch logon ke dimaag ka level itna low hai, ki unhe kuch kehne se better hai keep quite, and time aane par saari kasar nikaalo!
Jab Satyam mein job lagi thi, tab I didn't do anything. But now its the time. Sarkaari Naukri lagi hai. Small town, more quickly a news spreads. Wahaan jab logon ko pata chalega, toh pata chalega beta itna bhi kam nahi tha.. Mummy & Papa ka naam aur izzat se liya jaayega. :)

The next task for me to do is, us bande ko search karna, and then fir unhe batana ki Uncle, BHEL, (naam suna hai?) BHEL mein naukri lagi hai..ab compare karlo kisi se bhi poore town mein..mil jaaye toh maan jaaun!

Search karna hai. :)

It's 3:18 AM now. I should go to sleep now. :)

5 comments:

s.u.c.h.r.e.e.t said...

touchwood. and hain oye tune mereko pardesi bana diya? tabhi mujhe bulaya bhi nai party pe

Ko said...

congrats :) yeh buddhu se uncles ko nahi aata kuch. :)

Harshal! said...

@ suchreet: aapko kaha toh tha..aa jaao..party ho jaayegi apne aap! :)

@ ko: shukriya.. :)

apoorav1989 said...

sir aap bhi blogger ban gaye ..good..

Himanshu said...

and i heard the story live :) i feel special!